Monday, August 20, 2012

Celebrate The Festival With Love and Peace


Freinds maine apne aap se ye commitment kiya tha ke november tak net use nahi karunga.(kyunki november mein mere exams hain)
lekin Abhi abhi eid ki namaz padhke aaya to socha eid ki chutti me to post likh hi sakta hu isliye apni commitment tod kar likhne baith gaya post.

Lekin Aaj ki post mein koi technology ki baat nahi karunga, Aaj main apne sabhi readers ko thanks bolna chahta hun jo mujhe itna pyar dete hain aur sabhi ko Eid ki bahut bahut mubarakbad deta hu. aur main kuch readers se sorry bhi bolna chahta hu ke main unki queries ka jawab nahi de pata. Actually jab bhi main apna facebook account ya Mail id login karta hu to mujhe itne msgs aur mails milte hain ki agar main un sabko reply karne lagunga to apna baaki kaam nahi kar paunga. Isliye kuch logo ko hi reply kar pata hu. abhi bhi bahut se mail aur msgs hain jo pending hain aur main abhi tak unhe padh nahi paya. lekin free hone ke baad try karunga ki zyada se zyada queries solve kar paaun. aur aapke saamne wo stuff laaun jo aap chahte hain.

Ek baar fir se aap sabko Eid ki bahut bahut mubarakbaad deta hu. Aur aap sab se request karta hu ke Burma aur Assam me jo kuch ho raha hai us sab ke khatm hone aur poori duniya me shanti ka mahol ban jane ki dua karein. Kisi bhi Afwah par dhyan na dein, jazbat me aakar koi qadam na uthayein, kyunki koi bhi religion aur Uske Festivals sirf Pyar se rehne aur pyar dikhane ko kehte hain. Ummid hai aap log mujhse agree karenge aur poori insaniyat ke liye dua karenge.

Take care freinds enjoy the festival :)

Sunday, August 5, 2012

How To Watch Youtube Videos on Slow Connection


Youtube par to sab hi video dekhna pasand karte hain kyunki ye ek itni huge community ban gayi hai ke apko yahan par har tarah ka content available hai, jaise Movies, Tv shows, Songs, Tutorials etc.

Ab jin logo ke paas fast internet connection hai unhe to koi problem nahi lekin jo slow connection se net use karte hain unke system par shayad hi koi online streaming video chal pati ho. kyunki streaming video ke liye fast receiving chahiye jo slow connection nahi de pate. Ab aise me ya to log video ko download kar lete hain ya fir video ko open karke uske buffer hone ka wait karte hain aur jab wo puri tarah se buffer ho jati hai tab video ko play karte hain, ye dono hi time consuming hain.

Ek tarika hai jisse ap slow connection par bhi bina buffering ke video dekh sakte hain, jiske liye apko vlc player ki zarurat hogi. ye sabse badhiya freeware player hai jo sabhi format ko support karta hai aur sabhi users isko achi tarah se jante bhi honge lekin agar apke paas ye player nahi hai to yahan jakar download kar lijiye.

Ab sabse pehle apko http://m.youtube.com par jana hoga. Site open hone ke baad jo video aap dekhna chahte hain use search kijiye aur us video par click kijiye.

Video par jakar Right click kijiye aur Copy Link Location / Copy link address par click kijiye



Ab Vlc player ko open kijiye aur Media mein jakar Open Network Stream par click kijiye jaise niche image mein hai ya fir Ctrl+N shortcut key ka use kijiye.



Ab jo nayi window open hogi usme video ka url paste kar dijiye, jo apne pehle hi copy kiya hua hai, aur niche play button par click kijiye.



kuch second baad apki video play ho jayegi.



lekin is tarah se play hone wali videos ki quality itni achi nahi hai aur aisa isliye hai kyunki ye youtube ka mobile version hai jise hum PC par use kar rahe hain. lekin jaisa ki aap log jante hain english mein ek Quotation hai "Something is better than nothing." aur ab mujhe aage kuch aur bolne ki zarurat nahi hai aap samajh hi gaye honge.

And In last but not the least.
I Wish you all A VERY HAPPY FRIENDSHIP DAY

Thursday, August 2, 2012

Iron Browser- An Alternative to Chrome


Sabhi log zyadatar Google chrome, Mozilla Firefox, Opera ya Internet Explorer hi use karte hain. aisa isliye hai kyunki dusre browser ke baare me logo ko kuch khas pata nahi. agar pata ho to shayad unhe bhi use karein.

Agar aap Google Chrome use karte hain to apke liye ek aisa browser hai jo Chrome ka acha substitute ho sakta hai. Is browser ka naam hai Iron Browser.

Ye bilkul Chrome ki tarah kaam karta hai, isliye Chrome users ke liye to ye freindly hai hi sath me un logo ko bhi ye pasand aayega jinhone kabhi Chrome use nahi kiya. jab aap ise use karenge to khud hi iski speed ko jaan jayenge.

ek baar try zarur kijiye warna apke paas apke purane browser to hain hi.

Yahan click karke Download karein

Portable version ke liye yahan click karein

Take care freinds

Wednesday, August 1, 2012

A Flash Video(flv) Joiner


Youtube ne kafi dino pehle full length movies ki service start ki thi. jisse youtube par full length movies dekhna asaan ho gaya.

Lekin yahan par bhi sabhi movies nahi mil pati aur kuch movies aisi hain jinhe parts me dekhna ya download karna padta hai. to aise alag alag parts ko join karne ke liye aap is tool ka use kar sakte hain. ye FLV joiner sirf Flash videos ko hi support karta hai.

sirf 32kb ka chhota sa portable software hai. yahan click karke download kijiye.

Take care friends

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More