Kabhi kabhi hamare systems me virus ya windows me problem hone ki wajah se folder option miss ho jata hai aur bahut se log to sirf isi choti si baat par windows format kar dalte hain. lekin aap registry editor ya group policy me thodi settings change karke folder option ko fir se enable kar sakte hain. to chaliye dekhte hain kaise..
1st SOLUTION BY EDITING REGISTRY SETTINGS
1. sabse pehle run command open kijiye aur regedit type karke registry editor ko open kijiye.
2. Fir “HKEY_CURRENT_USER | Software | Microsoft | Windows | CurrentVersion | Policies | Explorer” par jaiye.
3. Explorer par click karne par right panel me ek value “NoFolderOptions” naam se hogi, use delete kar dijiye.
4. Ab “HKEY_LOCAL_MACHINE | Software | Microsoft | Windows | CurrentVersion | Policies | Explorer” ko navigate kijiye aur yahan bhi “NoFolderOptions” entry ko delete kar dijiye.
2nd SOLUTION BY GROUP POLICY EDITOR
1. Run command open kijiye aur gpedit.msc type kijiye aur enter press kijiye.
2. Ab User Configuration me Administrative Template -> Windows Components par jaiye.
3. Windows Explorer par click kijiye.
4. Ab right pane me "Removes Folder Options menu from Tools menu" ko dekhiye.
5. Is par double click kijiye, Disabled ya Not Configured choose kijiye aur OK kar dijiye.
0 comments:
Post a Comment