Monday, May 30, 2011

Murder 2, double dhamal & delhi belly mp3 songs ready to download

kya aapne inhi dino kuch ajib se song suna? "bhag bhag D.K bose" jab maine pehli baar ye gana suna to bahut ajib laga, lekin jab bahut sare friends ne iske baare me bataya tab isko suna, kafi funny song hai. iske lyrics kuch is tarah hain.


daddy mujhse bola…
tu galti hai meri…
tujhpe zindgaani…
guilty hai meri…
saabun ki shakal mein…
beta tu to nikla keval jhaag..
jhaag… jhaag… bhaag…
bhaag bhaag… bhaag bhaag…
bhaag bhaag… bhaag bhaag…
Oh by God lag gayi…
kya se kya hua…
dekha to katora…
jaaga to kuan…
piddi jaisa chooha…
dum pakda to nikla kaala naag…
naag… naag…. bhaag…
bhaag bhaag DK Bose DK Bose DK bose
bhaag bhaag DK Bose DK bhaag…
bhaag bhaag DK Bose DK Bose DK bose
bhaag bhaag DK Bose DK bhaag…
abhi aayi abhi aayi abhi aayi abhi aayi
bhaag bhaag DK Bose DK bhaag…
bhaag bhaag DK Bose DK Bose DK bose
bhaag bhaag DK Bose DK bhaag…
abhi aayi yay…
bhaag bhaag… bhaag bhaag…
bhaag bhaag…
hum to hain kabootar…
do pahiye ka ek scooter…
zindagi…
jo dhakelo to chale…
arre, kismat ki hai kadki..
roti kapda aur ladki…
teeno hi…
papad pelo to mile…
ye bheja garden hai
aur tension maali hai
mann ka taanpoora…
frustration mein chherre ek hi raag…
raag… raag… bhaag…
bhaag bhaag DK Bose DK Bose DK bose
bhaag bhaag DK Bose DK bhaag…
bhaag bhaag DK Bose DK Bose DK bose
bhaag bhaag DK Bose DK bhaag…
hey, abhi aayi abhi aayi abhi aayi bhi aayi
bhaag bhaag DK Bose DK bhaag…
bhaag bhaag DK Bose DK Bose DK bose
abhi aayi yay…
daddy mujhse bola…





ye film delhi belly ka song hai jiske hero Imran khan hain. Is film ka production Aamir khan kar rahe hain. ye jodi isse pehle "jane tu ya jane na" me dekhne ko mili thi jo kafi hit rahi thi dekhte hain ye film kaisi hoti hai. but abhi to iska music release hua hai kuch songs sunne me ache hain. kuch to abhi se chartbusters mein hain aur kuch aane wale dino me zarur apni jagah baneyenge. to jab tak movie release ho tab tak songs se hi kaam chalaiye.

Delhi belly film ke songs download karne ke liye yahan click karein.




Murder 2 ke songs download karne ke liye yahan click karein.



Double dhamaal film ke songs download karne ke liye yahan click karein.

Sunday, May 29, 2011

notepad trick to make your computer fast...

apne aksar dekha hoga jab aap computer me OS install karte hain to shuru me to system acha run karta hai, lekin kuch dino baad thoda slow ho jata hai. ye problem ram ki free memory ki wajah se hoti hai. kyunki saare programme windows open hone ke baad ram me open hote hain, agar zyada programme computer me install honge to utna hi computer slow chalega. aaj main apko aisi trick bata raha hun jise follow karne ke baad aap apne computer ke speed badha sakte hain. ye ek trick hai jisse ram ke memory free ho jati hai.

sabse pehle notepad open kijiye aur usme niche diya code copy karke usko freeRAM.vbs name se save kar dijiye.

  


ab jab bhi apka computer slow ho to is file pe double click kijiye aur aapka computer pehle se fast ho jayega... try kijiye

take care freindss

Friday, May 27, 2011

How to make pendrive windows bootable installation device.

hello freinds, maine pehle bhi isi topic pe post di thi ke kis tarah apni pendrive ko bootable banaye xp install karne ke liye. is post ko aap yahan click karke padh sakte hain. lekin isme bahut sare steps se hokar jana tha jo bahut tipicle the aur wo sirf wohi banda theek se follow kar sakta tha jise computer ke achi knowledge ho.

aaj main apke liye aisa software laya hun jisse apko zyada kuch karne ki zarurat nahi hai. bas is software ko download kijiye, CD/DVD drive me windows ki bootable cd lagaiye, usb port me pendrive lagaiye(agar ap xp bootable bana rahe hain to 1 gb aur agar vista ya win 7 ki bana rahe hain to 4 gb ki pendrive theek rahegi.) aur software ko install kijiye fir usme apni CD/DVD ki drive aur usb drive ko choose kijiye. aur kuch hi click me ye apki pendrive ko windows installation ke liye bootable bana dega.

ab apko jis bhi system me windows install karni ho usme pendrive lagakar first boot device ko pendrive kar dijye aur windows install kar lijiye.

ye chota sa free software sirf 6.74 MB ka hai. abhi download karne ke liye yahan click karein..


take care freinds enjoyy

Thursday, May 26, 2011

Accounting gets easy for firms and small companies.


hello freinds, apko mere blog par bahut si technical post milti hain jo apko zarur help karti hongi. lekin main IT ka students nahi hun wo baat alag hai ke mujhe IT me interest hai. lekin main accounting field se juda hu. to aaj kuch accounting ki hi baat karta hun.

bahut se aisi choti choti firms hoti hain jinhe apne account rakhne ke liye ERP ya koi alag se software ka use karna padta hai. lekin dosto main apko aise software ke baare me bata raha hun jisse koi bhi firm apna hisab kitab online rakh sakti hai aur koi software alag se system me install karne ki zarurat bhi nahi hai. aap chahein to use karne se pehle iska demo dekh sakte hain.

iske features ke baare me janne ke liye click karein.

iska demo dekhne ke liye yahan click karein.

isko download karne ke liye yahan click karein.


take care freinds enjoy.

Sunday, May 22, 2011

lets have fun....

hii freinds bahut dino se kuch mazedar post nahi kiya tha to ajeeb lag raha tha. to chaliye aaj mujhe kuch mil hi gaya jo apko zarur pasand aayega. hum sabhi social networking sites ka to use karte hi hain. to chaliye usi me kuch innovation karte hain.

bas aapko itna karna hai ki jo niche code diya gaya hai use copy karke apne facebook ya orkut account ke address bar me copy kar dijiye aur enter press kijiye. aur fir kamaal dekhiye.


 



aur jab aap ise browser ke address bar me copy karenge to apko kuch aisa dekhne ko milega..


Saturday, May 21, 2011

Make any software Portable(no need to install again)

hii freinds aaj mausam bahut hi badhiya tha to socha kuch badhiya sa hi post karna chahiye jo sabke kaam aaye. hum sabhi apne pc me jo software install karte hain wo do tarah ke hote hain.ek to wo jinhe aap install karne ke baad pure folder ko copy karke pendrive me lekar kisi bhi dusre computer par bina install kiye use kar sakte hain, aur computer format karne baad bhi inhe bina install kiye chalaya ja sakta hai. jaise vlc player. aur kuch software aise hote hain jinko kahin bhi chalane ke liye install karna padta hai.jaise Photoshop.

Ab aise me in softwares ko install karna majburi ho jata hai jisse hamare pc ki speed slow ho jati hai. lekin main apke liye aisa software laya hun jisse aap kisi bhi software ko portable bana sakte hain. aur pendrive me lekar bhi kisi dusre computer par chala sakte hain. jisse aapko koi bhi programme format karne ke baad dobara install karne ki zarurat nahi. bas pura folder pen drive me copy kar lijiye.aur operate kijiye kahin bhi kabhi bhi... :D

software ko download karne ke liye yahan click karein.




take care & enjoyy freindss

Friday, May 20, 2011

Convert trial Idm to full(cracked) version..


hii freinds, Idm ke baare me to aap pehle se hi kafi kuch jante honge aur main bhi iske baare me post likh chuka hu. jo aap yahan aur yahan padh sakte hain. idm aisa download manager hai jo bahut hi kam time me internet world me bahut zyada popular ho chuka hai. iski resuming capability, downloading speed kamaal ki hai. lekin freinds ye software free nahi hai kuch log iska trial version chalate hain jo sirf 30 din tak hi chalta hai aur kuch log jo full or cracked version chala chuke hain wo isme virus batate hain.

lekin main aaj yahan apko aisa tarika batane jaa raha hun jisse aap lifetime ke liye idm chala sakenge. matlab ye ek hack hai aur isse idm crack version me convert ho jayega. to chaliye shuru karte hain.

Step 1- sabse pehle trial idm download karein. isko apne pc me install karein aur registration par click karein.

Step 2- jab aap registration pe click karenge to ek nayi dialog window open hogi jisme aapse Name, Last Name, Email Address aur Serial Key fill karne ko kaha jayega.

Step 3- Isme sari entry fil kijiye aur serial key ki jagah niche di gayi keys me se koi bhi ek key daal dijiye.

   
  


ab register karne ke liye OK pe click kijiye.

Step 4- Ok par click karne ke baad wo apko ek error msg show karega "you have registered IDM using fake serial key and IDM will exit". yahi se hamara hack shuru hota hai.

Step 5- Ab start button par jakar Run window open kijiye, aur wahan pe niche diya code type karke enter press kijiye.

  


Step 6- apke samne ek notepad file open ho jayegi.jisme apko niche diya gaya code niche di gayi picture ki tarah add karna hai.

    127.0.0.1    tonec.com
    127.0.0.1    www.tonec.com
    127.0.0.1    registeridm.com
    127.0.0.1    www.registeridm.com
    127.0.0.1    secure.registeridm.com
    127.0.0.1    internetdownloadmanager.com
    127.0.0.1    www.internetdownloadmanager.com
    127.0.0.1    secure.internetdownloadmanager.com
    127.0.0.1    mirror.internetdownloadmanager.com
    127.0.0.1    mirror2.internetdownloadmanager.com



code add karne ke baad file ko save karke exit kar dijiye.


ab apka idm full version me convert ho chuka hai. to chalaiye lifetime aur jab aap ise next time update karenge to bhi koi pareshani nahi hogi.

take care freinds enjoy

Tuesday, May 17, 2011

Boot PC faster (tweak)


Uff!! bade hi thakaan bhare din hote hain exam ke, frustratiion, pressure, tension etc. khair Aaj bahut dino baad fir se main apke samne hu. jaisa maine kaha tha exam ke baad kuch badhiya si post lekar aaunga. to lijiye main aa gaya.bina time waste kiya main apko aaj ki trick ke baare me batata hun. is trick ke through aap apne pc ka boot time decrease kar sakte hain. aur aisa karne se apka pc 2-3 times fast boot karega. uske liye apko niche diye steps follow karne honge..

1- sabse pehle notepad open kijiye aur type kijiye del c:\windows\prefetch\ntosboot-*.* /q aur is file ko ntosboot.bat ke naam se c:\ drive me save kar dijiye.


2- ab start menu par jakar run window ko open kijiye aur wahan type kijiye gpedit.msc aur enter press kijiye.


3- Ab group policy window open ho jayegi jisme apko Computer Configuration ke andar Windows Settings par double click karna hai. fir right hand side pe startup/shutdown par bhi double click karna hai. wahan do option honge starup aur shutdown, apko shutdown par fir se double click karna hai


4- Ab nayi window me Add par click kijiye aur browse karke jo file apne ntosboot.bat naam se c:\ me save ki thi use open kijiye.

5- Ab OK  par click kijiye, aur dobara se Apply & OK par click kijiye.

6- Ab fir se start menu par jakar run window open kijiye aur wahan devmgmt.msc type kijiye. jisse device manager window open ho jayegi.


7- jisme apko IDE ATA/ATAPI controllers par double click karna hai.

8-  Ab Primary IDE Channel par right click karke properties ko select kijiye.

9-  advance settings tab par jayiye, yahan apko 2 device show hongi 0 and 1 , inme se jisme bhi auto detection ho uski jagah none ko select kar lijiye aur OK kar dijiye.

10- ab Secondary IDE channel channel par right click karke uski property select kijye aur step 9 ko dobara kijiye.


ab itni mehnat ho gayi hai ke kuch aur karne ki zarurat nahi hai. apne computer ko restart kijiye agar saare steps sahi se follow kiye honge to aap dekhenge apka computer pehle se zyada fast boot kar raha hai.


take care freinds enjoyy..

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More