Monday, September 27, 2010

How to recover delete files

hiiii freinds I hope aap sab maze me honge
aj main yahan us problem ka solution lekar aaya hun jis problem ko ham sabko kabhi na kabhi face karna padta hai, kabhi kabhi aisa hota hm galti ya bhul se koi file delete kar dete hain or fir recycle bin bhi empty kar dete hain ya shift+del+enter kar dete hain, uske baad dhyan aata hai ye humne kya kar diya wo file to bahut important  thi, lekin hum afsos karne k alawa kuch kar nahi pate..

bt ab afsos karne ki zarurat nahi kyunki apka solution yahan hai yeh ek chota sa software hai jo apke bade kaam ayega...

to ab apko pareshan hone ki zarurat nahi hai is software se ap file recover kar sakte hain, aur iska ek aur plus point hai ap isme se option choose kar sakte hain ki apko kis type ki file recover karni hai.


ummid ye apko acha legega, so download kijiye aur try kijiye
ek aur baat format lagi hui hard disk se bhi ap data recover kr sakte agar hard disk drives apne kam ya zyada na ki ho matlab sirf c: format ki ho baki drives k sath koi ched chad na ki ho..

take care freinds

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More