Is blog ke sabhi readers ko HAPPY REPUBLIC DAY. main INDIA ka citizen hu aur isliye main is country mein ho rahi activities ke bare me bahut kuch kehna chahta hu. lekin jitna kaha jaye utna kam hai. Dr Allama Iqbal ne partition se pehle jo is desh ke liye likha tha wo bilkul thik tha. unki likha gaya tarana SARE JAHAN SE ACHA HINDUSTAN HAMARA aaj bhi har dil me basa hua hai. par sare jahan se acha hone ke baad bhi isme aisa kuch hota hai ki ek ladki ko chalti bus me rape kar diya jata hai. Aur agar koi rape victim ko protest karne ke liye aage aata hai to uspar LATHI CHARGE kiya jata hai.
dusri taraf jo rapist hain unko pakad liya jata hai par kiya kuch nahi jata. aur ek terrorist jo masoom logo ki jaan le chuka hai usko 4 saal tak jail me facilities ke sath rakha jata hai. Sach hi kehte hain log INCREDIBLE INDIA.
Soye hue is desh ke liye kuch lines main aaj kehna chahta hu. ye lines maine nahi likhi hain aur main ye bhi nahi janta ki ye likhi kisne, maine ek magezine me inko padha, par jisne bhi in lines ko likha usne sach hi likha hai.
अब इस देश में ,
लाल कम लाले ज्यादा हैं ,
काम कम घोटाले ज्यादा है।
अब इस देश में,
सामान कम महंगाई ज्यादा है,
वेतन कम उपरी कमाई ज्यादा है।
अब इस देश में,
नौकरी कम बेरोजगारी ज्यादा है,
ईमान कम खरीददार ज्यादा हैं।
अब इस देश में,
शांति कम दंगे ज्यादा हैं,
शरीफ कम नंगे ज्यादा हैं।
अब इस देश में,
सेवा कम स्वार्थ ज्यादा है,
शब्द कम शब्दार्थ ज्यादा है।