Monday, April 16, 2012

Download web pages as PDF document without any software or extension


Bahut se log web pages ko PDF mein save karne ke liye softwares aur online services ki help lete hain. lekin agar aap Google Chrome user hain to aap kisi bhi web page ko PDF document me save kar sakte hain wo bhi bahut aasani se.

Bas aapko itna karna hai jo bhi page aap save karna chahte hain use chrome me open kijiye aur Ctrl+P press kijiye. aisa karne se ek print dialog open ho jayega usme. "Save as PDF." ya "Print to PDF" ko select kijiye aur print par click kijiye. aapka page PDF format me save ho jayega.

ye sab isliye hai ke chrome me in built PDF convert engine hai jo kisi bhi page ke open hote hi use PDF me convert kar deta hai. aap chahein to iske through apne photos ya dusri files ko bhi PDF format me save kar sakte hain.

take care freinds

Saturday, April 14, 2012

A windows repair tool.(try before you format your hard disk)



Aaj bahut dino baad ek post likh raha hun, pichle kuch dino se to blog ka template change karna aur dusri settings me laga hua tha. abhi bhi main is template se puri tarah satisfy nahi hu. abhi waqt nahi hai to ise bich me chhor raha hu. ab exam ke baad naya template change karunga jo zarur aap log ko pasand aayega. time ki kami ki wajah se interruption to chalti hi rehti hai lekin main fir bhi koshish karta hu zyada se zyada batein aap logo tak pahucha saku.

Ab exam se pehle shayad ye meri last post hai aur next post 10 may ke baad mere exam khatm hone par hi aayegi. aaj ki post mein main apke liye laya hu ek aur windows repair tool. jo yaqinan hi aapke kaam aayega. kyunki ye mere bahut kaam ka hai. jab kabhi bhi windows me koi problem hoti hai to hum me se zyada logo ke paad sirf format hi ek option bachta hai. lekin agar aap ye tool use karenge to aapko format karne ki bahut zyada zarurat nahi padegi.

ye tool 5 step me windows ko repair karta hai.

pehle step me aapse koi antivirus install karne ko kaha jayega agar aapke system me pehle se hi antivirus hai to isko next karke aage jaa sakte hain.

step 2 mein check disk, step 3 mein system file check aur step 4 mein registry backup aur system restore point create karne ke liye pucha jayega.

sare step complete hone ke baad step 5 mein apke samne repair ke liye 3 option honge. BASIC, ADVANCE and CUSTOM mode. inme se apne hisab se aap koi bhi option choose kariye aur start par click kijiye.

step ke bich me aapse windows ki CD ke liye bhi pucha jayega isliye ek CD ready rakhiye. thodi der me aapka system bilkul fresh ho jayega.

is tool ka ek benefit ye bhi hai ke ye ek portable tool hai to ise install karne ki zarurat bhi nahi bas install kijiye aur use kijiye

download karne ke liye yahan click karein

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More