Monday, March 15, 2010

Bulandi pe ek ghar.....

bulandi pe ek ghar banane laga hun,
hawaon ko main par banane laga hun,

tere dar pe sar jhukakar meri jan,
main apna mukaddar banane laga hun,

meri koshishon ki zara dad to de,
main qatre se sagar banane laga hun,

nigahon me teri jo jane ghazal ho,
wo misra main sundar banane laga hun,

meri soch ko to dekh tu jana,
zamin ko main ambar banane laga hun,

hum garibo se amire shehar bola,
main tujhko afsar banane laga hun,

har sitam haske sahunga sine pe,
main dil ko kalandar banane laga hun.

Ae dile nadan...

Ae dile nadan itna yaad nahi karte,
yun waqt bewaqt fariyad nahi karte,

mangi thi hamne unse thodi si jagah dil me,
aur jawab yun aaya ki israr nahi karte,

ye mehangi sha hai khuda ki den hai,
ise har aire gaire par nisar nahi karte,

markar bhi kuch log zinda hain jahan me,
hum jee rahe hain to kamal nahi karte,

deta hai khuda rizk parindo ko bhi,
ye daulat ye khazane khush haal nahi karte,

chamakte chehre bhi hote hain wajah-e -ranai,
sirf khilte gulab bahar nahi karte,

tishnagi abhi baki thi ki darban ne utha diya,
sarab haqiqat hone ki majal nahi karte,

markar hi ab humne ye jana hai,
kisi se itna tutkar kabhi pyaar nahi karte.

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More