Friday, December 30, 2011

Videosurf: A search engine for videos

hi freinds.. pichle kuch dino se busy tha to koi post nahi de paya. lekin aaj thoda waqt nikal hi aaya to lekar aa gaya main apke liye kuch aur naya. Search engine to aap use karte hi honge. specially google to sabka ustad hai. lekin agar apko koi video search karni ho to bhi aap inhi search engine par find karte hain. but aaj main apko ek video...

Wednesday, December 21, 2011

Best Free Online Photo Editing Websites

Main personally photo edit karne ke liye photoshop use karta hu, lekin agar kisi ke paas photoshop ya us jaisa koi software na ho ya photoshop use karna nahi aata ho, to aise me kaise photo edit karein?? aisi condition me aisi bahut sari websites hain jinki help se aap bina kisi special  knowledge ke apne photos online edit kar sakte hain....

Saturday, December 17, 2011

How to play adult videos on youtube.

Kabhi kabhi youtube par aapne kisi video ka thumbnail dekha aur apne us par click karke use dekhna chaha lekin youtube ne apko rok diya. aisa aksar youtube par ho jata hai kuch videos aisi hoti hain jo 18+ hoti hain aur chhote bachhon ke liye thik nahi hoti ya to unme voilence ya pornographic content hota hai. aisi videos dekhne ke liye pehle apko...

Tuesday, December 13, 2011

Find out who unfreinded you on facebook.

Is baat mein to koi shak nahi hai ke facebook logo ki sabse favourite social site hai. daily number of users isse connect hote hain aur freindship karte hain. jab hum kisi ko freind request send karte hain aur wo accept kar le to bahut khushi hoti hai. lekin kabhi kabhi jab hamari freind list achanak se kam ho jati hai to dukh to hota hi hai. lekin...

Wednesday, December 7, 2011

Increase file copying speed of your system.

Ab kisi ke paas computer system hai to copy aur paste chalta hi rehta hai. bas zara mushkil tab hoti hai jab koi badi size ki file copy hone zyada time le rahi ho aur aap jaldi me ho.(are aaj ke waqt me time kiske paas hai...:D...) Aur fir kaun nahi chahta ki uska kaam jaldi ho jaye. to aise hi logo ke liye hai aaj ka software. iska naam hai Teracopy...

Tuesday, December 6, 2011

Make movies from your photos.

Aaj kal photos to sabhi rakhte hain. jab se Cellphones me camerae aur digital cam market me aaye hain. aur sabhi log apne photos dusro ko dikhate bhi hain. lekin agar unka presentation kuch alag tarah se ho to apko dikhane me bhi aur dekhne walo ko bhi zyada maza ayega. Bas aaj ek aisa hi software apke liye laya hun jisse aap apne sare photos...

Saturday, December 3, 2011

Download videos in newer way.

Youtube jaisi video sharing sites se video download karne ke bahut se tarike aapko malum honge. aur main bhi pehle kuch tarike bata chuka hun. Aaj bhi ek aisa hi tool apke liye laya hu jo apko video download karne me help karega.Is software ka naam hai Freemake Video Downloader, sirf 12.6MB ka hai, try zarur kijiyega. ho sakta hai ye apko video...

Wednesday, November 30, 2011

Make Twitter and Facebook like logos.

Twitter aur facebook internet world me aise naam hain shayad jo daily apke samne aate honge, aur inke logos bhi ankhon ko ache lagte hain. inhi ke name fonts ki tarah aap bhi same logo bana sakte hain, fir chahe wo apka naam ho ya kuch aur. to chalte hain aaj aisi hi site par jisme aap logo banakar use system me download kar sakte hain. maine...

Monday, November 28, 2011

Let's play with Google.

Kabhi kabhi enjoyment aur fun bhi matter karta hai, agar life me ye na ho to life adhuri si lagti hai. Aaj aisi hi post apke liye hai jo zarur apke face pe smile layegi. aisi kuch post pehle bhi de chuka hu jinhe aap yahan aur yahan padh sakte hain. Google ke sath enjoyment bada mazedaar experience rahega aapke liye. Google sabse badhiya search...

Tuesday, November 22, 2011

Find duplicate files and delete them easily...

Ye problem mostly sabhi users ke sath hoti hai, bahut si duplicate file system me hoti hain lekin unhe dhundna aur delete karna bahur sir dardi ka kaam hai. aur aisa data bekar me hi hard disk me space leta hai. lekin aap ek software ki help se bahut hi asaani se wo sab files find karke unhe delete kar sakte hain. software ka naam hai VisiPics...

Monday, November 21, 2011

Hum tera haath chhor dete hain.....

Hum Tera Haath Chhor Dete Hain... Umar bhar Ka Saath Chhor Dete Hain... Tum Apni Taqdeer Se Humein Juda Kar Do... Hum Tumhari baat Chhor Dete Hain... Agar Kar Lo Iqrar Saath Chalne Ka... Hum Apni Zaat Chhor Dete Hain... Apne Naam Ka Humein Libaas De Do... Hum Apni Aukaat Chhor Dete Hain... Ek Hi bar Utar Aao Rooh Mein... Hum...

Sunday, November 20, 2011

Empty Recent Documents history Automatically.

Recent documents mein un sabhi documents aur files ki list hoti hai jo apne aaj kal me use ki hain. lekin kabhi kabhi ye apki privacy ke liye problem bhi create kar deti hai jiski wajah se ise manually delete karna padta hai jo bahut hi annoying hota hai. waise to aap is history ko ek sath bhi delete kar sakte hain bas apko Run window pe jana hai...

Thursday, November 17, 2011

How to Install Windows XP.

Abhi kuch din pehle mere kuch freinds ne mujhse windows xp install/format karne ke tarike ke baare me pucha to maine socha is par ek post hi likh deta hu jo baad tak aise logon ke liye helpful hogi aur koi bhi easily ise seekh sakega. windows ko install ya format karne ke liye aapke paas win xp ki bootable cd aur motherboard ke drivers hone chahiye....

Tuesday, November 15, 2011

How to increase internet speed (tweak)

windows operating system me internet ki speed/bandwith kuch chizo ki liye reserve hoti hai jiska istamal windows updation ke liye kiya jata hai lekin wo hum shayad hi karte hain. agar aap chahein is speed ko windows registry me change karke browsing ke liye use kar sakte hain. sabse pehle Run command open kijiye. usme regedit type karein aur...

Friday, November 11, 2011

Downlod youtube videos in diffrent formats.

Youtube ko ab kaun nahi janta social networking sites ke baad sabse zyada users youtube par hain. lekin abhi bhi kuch users ko iski video files download karne me problem hoti hai. main is baare me post de chuka hu ke kis tarah aap youtube se file download kar sakte hain. wo post aap yahan aur yahan padh sakte hain. lekin problem ye hai ke youtube...

Friday, October 7, 2011

A Revolutionary Man and A real Hero.....My tribute to Steve jobs

Jaisa ke Aap sabhi jante honge Steve jobs ab hamare beech nahi hain. Ek bahut hi genious personality, Apple founder and former jinhone Apple ko ek nayi unchaiyon par pahunchaya. Ipad, ipod, iphone, imac, Mac desktop and laptop computers aur OS X operating system banane ke piche bhi yahi mastermind tha. wo techinical world me ek revolution lekar...

Saturday, October 1, 2011

Check your Antivirus whether it is working or not.

Hum apne system me Alag alag tarah ke Antivirus program install kar lete hain lekin ye nahi jaan pate ke wo thik se kaam bhi kar raha hai ya nahi. Agar aap ye dekhna chahte hain ke aapka Antivirus thik se kaam kar raha to niche diya gaya code notepad me copy karke is file ko .exe extension ke sath save kar dijiye. jaise testvirus.exe X5O!P%@AP[4\PZX54(P^)7CC)7}$EICAR-STANDARD-ANTIVIRUS-TEST-FILE!$H+H*...

Tuesday, September 20, 2011

Twitter, now in hindi.

Twitter ab social network ki duniya me jana pehchana naam hai. iske popular hone ki ek wajah ye bhi hai ke bollywood aur hollywood ke lagbhag sare celebrity yahan mil jate hain, aur apne followers se connect rehte hain. in sab me kuch log aise bhi hain jo sirf apni mother language me hi net chalana pasand karte hain. aur unme se HIndi users bahut...

Page 1 of 6112345Next
Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More